khushmijaz main gaa raha tha
khubsoorat sama dekhta chala ja raha tha
ruk gaya dekh rote hue sab ko
tham gaya main jhagadte dekh unko
har koi apni guhaar laga raha tha
koi bandook to koi talwaar utha raha tha
khud se poocha to ek aawaz aayi
ye rone waale us Rabb ke bande nahin
ek doosre ki musibat ko jo na samjhen
har vaqt khoon bahane ko jo hain tayyar
ye bas aansoo aur khoon bahana hi jante hain
ye bande Rabb ko nahin mante hain...
Phir nikal pada us Rabb ko yaadkar
Gungunata main hamdo sanaa padhta chala gaya
Har dhadkan se us Rabb ki badaai karta chala gaya
HAan khushnmijaaz main gaa raha tha
Khubsooat sama dekhta chala ja raha tha...
..::insaankhan::..
Hume chaand pe jaakar rukna nahin
Hamari to manzil hai sitaron se aage!!!
Friday, January 23, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)
